Posts

Showing posts from June, 2013

Kaun ho aap?

Hum se ek nazar, milakar to dekho. Bhul jaoge saara jahaan, dil lutakar to dekho. <3 Aapko dekh kar aisa lagta hai ki kuch mukhtalif si zindagi hone waali hai humari... kuch andekhe khwab, ansuni dhadkanein aur ankahe ishaaron se hi chal rahi hai saasein humari. Mohabbat shayad humare liye bani hai ya nahin, woh humein nahin maalum, par aap ko choone se shayad badal rahi hai harkatein humari :)

Muskurahatein...

Na sher ho na shayari ho, na jaane kiski khumari ho. na paas ho na door ho, phir kyun gustakhiyon ka kasoor ho? Bass ek baar woh muskurahat de do humein, jis par hum fida hue the. Bass ek baar woh mahatv de do humein, jisse hum juda hue the...